mujh se ab saf bhi ho ja yunhi yar aap se aap jis tarah hai teri khatir mein ghubar aap se aap kab kaha aatish-e-furqat se jalaya tu ne hain mere nala-e-dil saiqa-bar aap se aap khar tadbir hai pesh-e-gul-e-taqdir abas waqt par bagh mein aati hai bahaar aap se aap donon aalam mein agar ek nahin shoabada-baz jama kyun kar hue azdad ye chaar aap se aap nahin aata jo wo khurshed mere ghar mein na aae subh ho jaegi aakhir shab-e-tar aap se aap kuchh shikayat nahin ishq-e-kamar-e-nazuk ki ho gaya hun main sanam zar-o-nazar aap se aap o wajud-e-chaman-ara-e-azal ke munkir khud-bakhud gul hue maujud na khar aap se aap surkh poshak pahan kar wo sahi qad jo gaya jal uthe sarw-e-chaman misl-e-chinar aap se aap zulf ko chhu ke pada hai jo bala mein ai dil kat khata hai kisi ko koi mar aap se aap kuchh teri tegh-e-jafa ki nahin taqsir ai gul surat-e-ghuncha mera dil hai figar aap se aap ghair ka munh hai ki le bose tere o zalim nilgun ho gae honge ye ezar aap se aap nala-kash misl-e-jaras kyun hai abas ai majnun sabr kar aaegi jammaza-sawar aap se aap