muKHtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki

mukhtasar ye hai haqiqat ishq ke aazar ki
umr-bhar timar-dari ki dil-e-bimar ki

chain lene de dil-e-muztar kisi dam bahr-e-shaghl
tu ne o kam-bakht ab to zindagi dushwar ki

hijr ki shab sochta hun main kahan hun kaun hun
dekhta hun ghaur se surat dar-o-diwar ki

ab to ji ghabra gaya hur-o-jinan ke zikr se
hazrat-e-waiz bhala had hai koi tumar ki

aah-o-zari ki kabhi akhtar-shumari ki kabhi
kis musibat se kati hai raat hijr-e-yar ki

khub soche hazrat-e-waiz jo chupke pi gae
laj rakh li aap ne jo jubba-o-dastar ki

gham nahin kuchh bah gaya aankhon se gar khun-e-jigar
ho gai puri khushi to dida-e-khun-bar ki

aaj kya samjha hai saqi ne jo mai deta nahin
main ne tauba is se pahle bhi to lakhon bar ki

ai asiran-e-qafas kya aaenge aise bhi dil
phir kabhi dekhenge surat hum gul-o-gulzar ki

ab to wo har baat par kar dete hain fauran nahin
pad gai hai aisi kuchh aadat unhen inkar ki

aaj kuchh barham the wo bhi aur hum bhi the bhare
baaton hi baaton mein naubat aa gai takrar ki

de chuki jab naza ki haalat mein goyai jawab
puchhne baithe hain khwahish aah ab bimar ki

har qadam par aablon se ek nai taklif hai
kis tarah tai hogi manzil wadi-e-pur-khar ki

ho saki 'ishrat' na koshish aah koi kaamyab
har ghadi karte rahe tadbir wasl-e-yar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close