mumkin hai ab faza-e-sahar bolne lage

mumkin hai ab faza-e-sahar bolne lage
fitrat khud apne raaz-e-nihan kholne lage

phulon ko log kanton pe jab tolne lage
ghabra ke sare ahl-e-chaman bolne lage

hum us khulus-e-kufr-o-yaqin ke hain muntazir
jab raushni se raat bhi sach bolne lage

hairat-asar hai husn-e-sama’at ka mo'jiza
taswir mere kanon mein ras gholne lage

kyon nakhuda ko qadir-e-tufan samajh liya
ye kya karega naw agar dolne lage

duniya hamare harf-e-mudallal pe hai khamosh
hum chup rahen to sara jahan bolne lage

taron ki khair taron bhare aasman ki khair
ab hum inhen bhi misl-e-guhar rolne lage

khud-agahi ki quwwat-e-parwaz dekh kar
asrar-e-kaenat bhi par tolne lage

is tajrabe ke waste ek ‘umr chahiye
alfaz sath chhod den dil bolne lage

husn-e-kalam tishna-e-takmil hai 'uruj'
jab tak na apne munh se hunar bolne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close