mumkin nahin hai apne ko ruswa wafa kare duniya-e-be-sabaat ki khatir dua kare nur-e-wajud aur agar hausla kare sham-e-hayat jal ke bhi kuchh lau diya kare mar mar ke koi kab talak aakhir jiya kare kyun har nafas se zist ke tane suna kare jab koshish-e-tamam bhi rah jae na-tamam ai hasil-e-hayat bata koi kya kare jo gham nasib-e-yar ho khud apni zist par kab tak nigah-e-naz ka wo aasra kare hai aalam-e-wajud pe chhaya hua jumud ai kash inqalab koi faisla kare ab aarzu yahi hai dam-e-naza ai 'wafa' ghair-az-khuda na yaad rahe kuchh khuda kare