mumkin nahin ki ishq mein gham se mafar mile mar jaun main qarar ki surat agar mile kya kya na zindagi mein fareb-e-nazar mile rahzan the asl mein jo hamein rahbar mile le kar tumhaara nam jahan se guzar gaya wo ek shakhs jis se na tum umr bhar mile dair-o-haram to sajdon ki aamajgah hain us ka nasib jis ko tera sang-e-dar mile ummid-o-yas-o-hasrat-o-arman-o-arzu kya kya na rah-e-gham mein mujhe ham-safar mile ho jae un ko apne parae mein imtiyaz yarab unhen bhi chashm-e-haqiqat-nigar mile dil ka magar jawab nahin rah-e-ishq mein milne ko yun hazar mujhe rahbar mile apna kise banaen karen kis ka e'tibar nale bhi un ke halqa-ba-gosh-e-asar mile naseh ihanat-e-gham-e-jaanan nahin qubul lun jaan de ke mujh ko mohabbat agar mile pahli nazar mein mujh ko to apna bana liya yani kuchh is ada se janab-e-'sahar' mile 'sabir' junun-e-shauq ne aasan bana diye raste mein jo maqam mujhe pur-khatar mile