munh chhupao na tum naqab mein jaan yunhi aashiq ki hai azab mein jaan jun si chutki mein le ke mal dali hum se aashiq ki hai azab mein jaan khubi-e-husn ne teri na rakhi baqi ek zarra shaikh o shab mein jaan kis ki zulfon ke pech-o-tab se hai raat din meri pech-o-tab mein jaan sakht mushtaq hai tumhaara dil munh dikhao kabhi to khwab mein jaan ek din tum ne ki na baat kabhu mar gae hum to is hijab mein jaan nit tere intizar-e-ghusl se hai bahr ke dida-e-hubab mein jaan mah ne ai shahsawar-e-arsa-e-husn aaqibat di teri rikab mein jaan us ne bhar kar nigah dekha tha nahin us din se aaftab mein jaan sar-e-atish jo ashk-e-rezan tha kisi aashiq ki thi kabab mein jaan 'mushafi' tha zi-bas-ki aashiq-e-sher marte marte rahi kitab mein jaan