munharif mujh se ek zamana hai bad-nasibi ka kya thikana hai bahki jati hai chashm-e-zahid bhi har ada teri walehana hai kyun jabin ab hai mail-e-sajda kya yahin un ka aastana hai zarf-e-mai-kash ko tad leti hai chashm-e-saqi ka kya thikana hai waliyan-e-chaman nahin waqif barq-asa har aashiyana hai ab to ruswaiyan yaqini hain un ke lab par mera fasana hai su-e-kaba chale to ho 'qaisar' rah mein ek sharab-khana hai