munsalik ho kar tumhaare nam se mutmain hun gardish-e-ayyam se ban gae mere liye ilzam se jo payam aae tumhaare nam se hai tasawwur mein tere gesu ki chhanw nind aai hai bade aaram se jin ki tahriron se pahchana gaya kuchh khutut aise bhi the gumnam se aaj tanha aap hi ruswa nahin ho gae hain hum bhi kuchh badnam se tere aane ki khabar ke bawajud kis qadar be-tabiyan hain sham se kuchh kasar marne mein baqi hi na thi ji utha 'bismil' tere paigham se