muqarrebin mein ramz-ashna kahan nikle jo ajnabi the wahi apne raaz-dan nikle haram se bhag ke pahunche jo dair-e-rahib mein to ahl-e-dair hamare mizaj-dan nikle bahut qarib se dekha jo fauj-e-ada ko to har qatar mein yaran-e-mehrban nikle qalandaron se mila muzhda-e-subuk-ruhi jo bazm-e-hosh se nikle to sar-garan nikle qabila-e-haram o qaum-e-dair o firqa-e-rind hamare chahne wale kahan kahan nikle? sukut-e-shab ne sikhaya hamein saliqa-e-nutq jo zakiran-e-sahar the wo be-zaban nikle miyan-e-rah khade hain is intizar mein hum ki gard-e-rah hate aur karwan nikle guman ye tha ki pas-e-koh bastiyan hongi wahan gae to mazaraat-e-be-nishan nikle gire zamin pe jo haft aasman se takra ke to har qadam pe yahan aur haft-khwan nikle ufuq se apne to dhundla sa ek ghubar utha phir is ke baad sitaron ke karwan nikle kabhi kabhi to har ek sans par hua mahsus ki jaise qalib-e-atish-zada se jaan nikle samajh raha tha zamana jinhen nufus-e-jamal wo sirf chand nafas-ha-e-khun-chakan nikle kamal-e-shauq se chheda tha jin ko mutrib ne wo rag saz ke sine se nauha-khwan nikle 'rais' hujra-e-tarik-jaan ko khol to dun? jo koi aafat-e-qattala-e-jahan nikle