murdon ki zindagi ke liye kya dua karen is past aagahi ke liye kya dua karen az-khud hamein nahin hai mayassar nazar sada aise mein hum kisi ke liye kya dua karen be-rabt bad-hawas kamar se alag thalag hum aisi chandni ke liye kya dua karen milne the jo bhi dard masarrat so mil gae ab waqt-e-akhiri ke liye kya dua karen goya zamin ka na falak ka hua 'aziz' bolo ki is khudi ke liye kya dua karen