murjhaya kabhi dil ko shagufta paya

murjhaya kabhi dil ko shagufta paya
har bar naya zakhm-e-tamanna paya

har guzre hue waqt ko anqa paya
aate hue lamhat ko dhundla paya

kitne hi masiha the jo qatil nikle
qatil jise samjhe the masiha paya

dekhun to guman aaina-bini ka ho
ab tak na koi duniya mein aisa paya

yaad aa gai mazi ki badi shiddat se
mathe ki lakiron ko jo gahra paya

ji mein tha ki auron ka tamasha dekhun
hosh aaya to khud ko hi tamasha paya

khwabon ke kai jam piye aankhon ne
khwabon se magar dil na bahalta paya

'iqbaal' mere haal se ye zahir hai
kya dil ki tamanna thi magar kya paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close