musafiran-e-ishq ko wo dasht wo dayar de barahnagi ke ahd mein jo chadar-e-ghubar de sahar ki raushni mein dekh zindagi ki mayyaten ye hadson ka shahar jab libas-e-shab utar de na jaane kab se zindagi ko intizar hai mera pata nahin kahan hun main koi mujhe pukar de ye sach hai zindagi mere qadam ki jumbihson mein hai magar zara salib se koi mujhe utar de khuli hui hain jism ki tamam band khidkiyan kisi charagh se kaho koi kiran guzar de main koh koh dasht dasht chhod dun nishan-e-pa junun diya hai gar mujhe junun pe ikhtiyar de ye kya ki dasht-e-zist mein har ek samt ret hai kahin to mauj-e-ab de koi to aabshaar de tu 'kazim'-e-safir-e-ahd-e-nau ki baat sun to le phir us ke baad tu use mita de ya sanwar de