musalsal ek hi taswir chashm-e-tar mein rahi

musalsal ek hi taswir chashm-e-tar mein rahi
charagh bujh bhi gaya raushni safar mein rahi

rah-e-hayat ki har kashmakash pe bhaari hai
wo bekali jo tere ahd-e-mukhtasar mein rahi

khushi ke daur to mehman the aate jate rahe
udasi thi ki hamesha hamare ghar mein rahi

hamare nam ki haqdar kis tarah thahre
wo zindagi jo musalsal tere asar mein rahi

nai udan ka rasta dikha rahi hai hamein
wo gard pichhle safar ki jo baal-o-par mein rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close