mushkil hai hona ru-kash ruKHsar ki jhalak ke

mushkil hai hona ru-kash rukhsar ki jhalak ke
hum to bashar hain us ja par julte hain malak ke

marta hai kyun to nahaq yari briadri par
duniya ke sare nate hain jite-ji tilak ke

kahte hain gor mein bhi hain tin rose bhaari
jawen kidhar ilahi mare hue falak ke

late nahin nazar mein ghaltini guhar ko
hum mo'taqid hain apne aansu hi ki dhalak ke

kal ek mizha nichode tufan nuh aaya
fikr-e-fishaar mein hun 'mir' aaj har palak ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close