mushkil teri udan hai suraj nazar mein rakh tarik aasman hai suraj nazar mein rakh jaana hai raushni ki taraf laut kar tujhe do pal ka ye jahan hai suraj nazar mein rakh be-rang is ke phul hain be-nur har shajar jangal ye gulsitan hai suraj nazar mein rakh ye arz-e-be-sabaat hai har mod par yahan zulmat ka arsalan hai suraj nazar mein rakh har rahguzar mein zulm-o-sitam ka hi raj hai ye shahr-e-be-aman hai suraj nazar mein rakh duniya pul-e-siraat se kuchh kam nahin 'miraq' har pal ek imtihan hai suraj nazar mein rakh