mushkilen kitni hain poshida is aasani mein sona padta hai hamein khwab ki nigarani mein khud se milna ho to fursat ke palon mein milna aks dikhte hi nahin bahte hue pani mein baad muddat ke mila tha wo magar tha kaisa dekhna bhul gaya us ko main hairani mein teri yaad aai to hairat bhi nahin hai mujh ko yaad apna hi to aata hai pareshani mein kya hua jis ne yaqin ko tere mismar kiya tu ne kya dekh liya lamha-e-imkani mein