musibat jis se zail ho rahi saman kar dega na ghabrana khuda sab mushkilen aasan kar dega kharabaat-e-jahan mein kaun hai dil-soz saqi sa agar tarchhat bhi dena hai to tujh ko chhan kar dega qanaat ki bhi daulat ho to istighna nahin lazim jise tu nafa samjha hai yahi nuqsan kar dega jagah dil mein na de shauq-e-numu-dari buri shai hai yahi chaska tujhe barbaad ai nadan kar dega kahunga aaj se main sahib-e-ejaz naseh ko agar mere dil-e-muztar ka itminan kar dega tamannaon ki mehmani tasawwur ke hawale kar ki jo saman munasib hai wahi saman kar dega mata-e-be-baha se kam na jaan ai chashm ashkon ko yahi rona tera khali teri dukan kar dega koi gar saltanat bhi de to wapas kar na le ai dil subuk har tarf tujh ko ghair ka ehsan kar dega kahe deta hun qatil le khabar jaan-baz ki apne fana shauq-e-shahadat mein kisi din jaan kar dega teri ru-poshiyan ai husn kab be-kar jaengi yahi parda ayan aalam mein teri shan kar dega yaqin kar le ki khud wo jalwa-gar parde mein hai warna yahi zalim guman tera tujhe hairan kar dega ghazal se kya murad ai 'shad' hai arbab-e-mani ki kisi din tasfiya us ka mera diwan kar dega