musibat mein kabhi aise hasin lamhe bhi aate hain

musibat mein kabhi aise hasin lamhe bhi aate hain
ki dushman bhi purani ranjishon ko bhul jate hain

bahut ji chahta hai jin se koi sach batane ko
na jaane kyon wo sach qasdan unhi se hum chhupate hain

unhen khud ehtisabi ki bhi kuchh taufiq ho ya-rab
jo qasdan aae din meri wafaen aazmate hain

bada qatil takalluf pal raha hai tere lahje mein
bade shubhat mere dil mein paiham sar uthate hain

khuda ra sang-rezon ka shubh karna na tum hargiz
mere khat mein khulus-e-dil ke moti jagmagate hain

ye rukh hai kya hasin 'anwar-shamim' apni tabahi ka
kai ahbab jo bechain the ab muskuraate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close