musibaten to uTha kar baDi baDi bhule

musibaten to utha kar badi badi bhule
magar firaq ki iza na ek ghadi bhule

na hogi us lab-e-rangin ki aab-o-tab nasib
na apne rang pe phulon ki pankhudi bhule

kisi ne pyar se bahen gale mein dal jo din
tamam hijr ke sadme hum us ghadi bhule

abhi wo yaad hain saman hamein asiri ke
abhi na tauq na bedi na hathkadi bhule

tumhein jo dekh liya gham ghalat hua apna
tumhein jo pa gae sab ranj us ghadi bhule

buri bala hai ye chashm-e-siyah ki gardish
use jo dekh le aahu to chaukdi bhule

giri thi shaikh ki tasbih mai-kade mein raat
khabar nahin ki kahan nashshe mein chhadi bhule

'hafiz' wo dam-e-rukhsat ye kahte jate hain
ki meri yaad na dil se koi ghadi bhule


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close