muskuraate hue chehre se wo manzar nikla

muskuraate hue chehre se wo manzar nikla
jeb jab us ki tatoli main ne khanjar nikla

chain se qabr mein bhi rahne nahin deta hai
aur koi nahin wo mera mujawir nikla

bant deta hai wo jholi mein bhari sab khushiyan
hum ne samjha jise qatra wo samundar nikla

apne aanchal mein chhupa leti hai duniya ke gham
dil meri man ka samundar se bhi badh kar nikla

aaj aashram mein patak aaya wo budhi man ko
mom hum jis ko samajhte rahe patthar nikla

mom hum jis ko samajhte rahe patthar nikla
pad gae pichhe mere aaj zamane wale

jab main nafrat bhari diwar gira kar nikla
waqt katta nahin ab un ke bina yaron ab

das mahine to gae ab ye nowember nikla
das mahine to gae ab ye nowember nikla

us ko puja main ne bhagwan samajh kar 'indori'
aazmaya to faqat rah ka patthar nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close