na apna nam na chehra badal ke aaya hun ki ab ki bar main rasta badal ke aaya hun wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain main us ki dhup se saya badal ke aaya hun zara bhi farq na padta makan badalne se wo baam-o-dar wo daricha badal ke aaya hun mujhe khabar hai ki duniya badal nahin sakti isi liye to main chashma badal ke aaya hun wahi suluk wahi bhik chahta hun main wahi faqir hun kasa badal ke aaya hun mujhe batao koi kaam phir se karne ka main apna khun pasina badal ke aaya hun main ho gaya hun kisi nind ka shirakat-dar main ek hasin ka takiya badal ke aaya hun suno ki jonk lagai hai main ne patthar mein main ek nigah ka shisha badal ke aaya hun mera tariqa mera khel hi nirala hai na main zaban na lahja badal ke aaya hun wahi asir hun aur hai meri wahi auqat main is jahan mein pinjra badal ke aaya hun