na bahte ashk to tasir mein siwa hote

na bahte ashk to tasir mein siwa hote
sadaf mein rahte ye moti to be-baha hote

mujh aise rind se rakhte zarur hi ulfat
janab-e-shaikh agar aashiq-e-khuda hote

gunahgaron ne dekha jamal-e-rahmat ko
kahan nasib ye hota jo be-khata hote

janab-e-hazrat-e-naseh ka wah kya kahna
jo ek baat na hoti to auliya hote

mazaq-e-ishq nahin shekh mein ye hai afsos
ye chashni bhi jo hoti to kya se kya hote

mahall-e-shukr hain 'akbar' ye darafshan nazmen
har ek zaban ko ye moti nahin ata hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close