na bhula jaega tum se gham-e-be-intiha mera

na bhula jaega tum se gham-e-be-intiha mera
rahega dard ban kar dil mein ehsas-e-wafa mera

salamat hai ye jab tak jazba-e-zauq-e-rasa mera
bigadegi bhala kya ye zamane ki hawa mera

tajalli husn-e-zeba ki bahaaren ru-e-raushan ki
inhin ranginiyon mein dil bhi shayad kho gaya mera

tumhin par chhodta hun munsifi jurm-e-mohabbat ki
na ras aaega aisi kashmakash mein faisla mera

mujhe barbaad hone mein tammul kuchh nahin lekin
koi mansha-e-barbaadi to samjha de zara mera

tumhein aana padega aakhiri didar-e-mayyat par
tum apni aankh se dekhoge anjam-e-wafa mera

faza-e-khatir-e-ghamgin se virani chhalakti hai
koi munh dekh le ai 'zeb' hangam-e-fana mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close