na bikhraya karo tum baiThe baiThe zulf-e-pechan ko

na bikhraya karo tum baithe baithe zulf-e-pechan ko
khuda ke waste dekho mere haal-e-pareshan ko

ajab andaz se pis pis ke honton se nikalti hai
karun qurban teri ek nahin par sainkadon han ko

khuda jaane maza aata hai kya is mein ki hans hans kar
wo pahron dekhte rahte hain mere zakhm-e-khandan ko

unhen phir is ne bhadkaya hue garm-e-jafa phir wo
ilahi aag lag jae hamari chashm-e-giryan ko

qayamat ka saman phirne laga hai meri aankhon mein
ki jab se main ne dekha hai kisi ki chashm-e-fattan ko

badhi diwangi meri kuchh aisi ishq-e-gesu mein
ki mere nam se hoti hai wahshat ab bayaban ko

gae wo din manate the kisi ke sath hum sawan
ki ab to dekhte rahte hain apni chashm-e-giryan ko

abhi to hai shurua-e-fasl-e-gul josh-e-junun taza
rafu kyon log karte hain mere chaak-e-gareban ko

tere aate hi jhadu phir gai kis kis ko roen hum
alam ko yas ko hasrat ko betabi ko arman ko

mere shewan se to aazurda the phir ro diye aakhir
nazar aaya jo main jata hua shahr-e-khamoshan ko

badhe phir nakhun-e-wahshat ki ayyam-e-bahaar aae
zara hushiyar rahna ai hamare zakhm ke tanko

meri aankhen hi dushman ho gain haq mein mere aakhir
isi raste utara us ne dil mein tir-e-mizhgan ko

bala se gar hamari jaan-e-muztar par gire bijli
usi andaz se ek bar phir ghurfe se tum jhanko

hui jati hai kya kya lot is par rahmat-e-bari
koi dekhe to mahshar mein hamari sharm-e-isyan ko

na rakkha jaane ke qabil mujhe betabi-e-dil ne
kiya tha main ne kis mushkil se raazi us ke darban ko

mujhe sar phodne ki aarzu thi yun hui puri
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko

mere girya ki tughyani hai goya nuh ka tufan
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko

kisi yusuf-liqa ki yaad mein roya hun main itna
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko

mera be-khanuman hona meri qismat mein likkha tha
giraya sar pe sail-e-ashk ne diwar-e-zindan ko

meri jaanib se hai dil mein ghubar us be-murawwat ke
nikalega wo phir kya khak mere dil ke arman ko

khalish ka zaiqa madd-e-nazar hai mujh ko ai hamdam
jagah kyunkar na dun dil mein kisi ki nok-e-mizhgan ko

wo aae to mite jate hain kyon ye majra kya hai
ilahi ho gaya ye kya meri hasrat ko arman ko

phadakti hai rag-e-gardan meri kyon aaj phir 'nashtar'
chadhaya san par qatil ne shayad tegh-e-burran ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close