na Dagmagae kabhi hum wafa ke raste mein

na dagmagae kabhi hum wafa ke raste mein
charagh hum ne jalae hawa ke raste mein

kise lagae gale aur kahan kahan thahre
hazar ghuncha-o-gul hain saba ke raste mein

khuda ka nam koi le to chaunk uthte hain
mile hain hum ko wo rahbar khuda ke raste mein

kahin salasil-e-tasbih aur kahin zunnar
bichhe hain dam bahut muddaa ke raste mein

abhi wo manzil-e-fikr-o-nazar nahin aai
hai aadmi abhi jurm o saza ke raste mein

hain aaj bhi wahi dar-o-rasan wahi zindan
har ek nigah-e-rumuz-ashna ke raste mein

ye nafraton ki fasilen jahaalaton ke hisar
na rah sakenge hamari sada ke raste mein

mita sake na koi sail-e-inqalab jinhen
wo naqsh chhode hain hum ne wafa ke raste mein

zamana ek sa 'jalib' sada nahin rahta
chalenge hum bhi kabhi sar utha ke raste mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close