na daulat ki talab thi aur na daulat chahiye hai mohabbat chahiye thi bas mohabbat chahiye hai saha jata nahin hum se gham-e-hijr-e-musalsal zara si der ko teri rifaqat chahiye hai tera didar ho aankhen kisi bhi samt dekhen so har chehre mein ab teri shabahat chahiye hai kiya hai tu ne jab tark-e-talluq ka irada hamein bhi faisla karne ki mohlat chahiye hai ye kyun kahte ho rah-e-ishq par chalna hai hum ko kaho ki zindagi se ab faraghat chahiye hai nahin hoti hai rah-e-ishq mein aasan manzil safar mein bhi to sadiyon ki masafat chahiye hai gham-e-jaanan ke bhi kuchh der to hum naz utha len gham-e-dauran se thode din ki rukhsat chahiye hai har ek apni zarurat ke tahat hum se hai milta hamein bhi ab koi hasb-e-zarurat chahiye hai hai jab se munakis chehra badalne ka wo manzar hamari aaina-ankhon ko hairat chahiye hai jo niklen aalam-e-wahshat se phir kuchh aur sochen khirad se rabte rakhne ko fursat chahiye hai