na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charkh-e-khuda ki qasam mere yar ko mujh se na kijo juda tujhe sarwar-e-har-dusra ki qasam wo sanam kai din se hai mujh se khafa nahin aata idhar ko khuda ki qasam dil-e-mushfiq-e-man use khinch to la tujhe jazba-e-kah-ruba ki qasam yahi chahe hai ji ki gale se lago zara mere dahan se dahan to malo nahin ghurfe se aan ke jhank to lo tumhein apni hai sharm-o-haya ki qasam kabhi shab ko akela jo paun tujhe to gale se phir apne lagaun tujhe kabhi chhati pe apni sulaun tujhe mujhe ishq ke jaur-o-jafa ki qasam tere uthte hi pahlu mein dard utha tere jate hi dam ye adam ko chala mujhe chhod ke aah tu ghar ko na ja tujhe apne hi funduq-e-pa ki qasam mujhe bahr-e-khuda kahin us se chhuda tere hijr ki shab hai ye kali bala nahin jhut main kahta kuchh is mein zara mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam aji dekho to kaisi uthi hai ghata yahi aish ka din hai uda le maza karo baada-kashi mere mah-laqa tumhein deta hun abr-o-hawa ki qasam aji jati hai aaj tu wasl ki shab nahin kyun hai milaya labon se ye lab mujhe ab to udane de aish tu ab tujhe apne hai mehr-o-wafa ki qasam lage teri bala mujhe aafat-e-jaan kabhu phir bhi ye kah ke khilaega pan mere sar ki qasam meri jaan ki qasam mere ghamza-o-naz-o-ada ki qasam maren ghair pe aap main tum pe marun mujhe kya hai gharaz kaho kyun main jalun yahi ji main hai tum se na baat karun mujhe apni is aah-e-rasa ki qasam kise dekhun kaho lagun kis ke gale shab-e-wasl mein mujh se jo tu ye kahe ki ye baada-e-surkh tu pi le tujhe mere hathon ke rang-e-hina ki qasam kahan jata hai munh ko chhupae hue tere hijr mein jate hain hum to mare kabhi mud ke idhar ko bhi dekh to le tujhe hazrat-e-sher-e-khuda ki qasam suno seri na ho mujhe khao aji mujhe pito jo mujh ko girao aji mere ghar se na aaj to jao aji tumhein meri hi shab ki buka ki qasam mere bichhde ko mujh se milao koi mere ruthe ko la ke manao koi are yaro tum us ko bulao koi tumhein khaliq-e-arz-o-sama ki qasam