na fasle koi rakhna na qurbaten rakhna bas ab ba-qadr-e-ghazal us se nisbaten rakhna ye kis talluq-e-khatir ka de raha hai suragh kabhi kabhi tera mujh se shikayaten rakhna main apne sach ko chhupaun to ruh shor machae azab ho gaya mera samaaten rakhna faza-e-shahr mein ab ke badi kudurat hai bahut sambhaal ke apni mohabbaten rakhna hum ahl-e-fan ko bhi gum-namiyan thin ras bahut hua hai bais-e-ruswai shohraten rakhna qasida-khwani karo aur mauj udao ki 'shauq' tamam kar-e-ziyan hai sadaqaten rakhna