na gham-e-dil na fikr-e-jaan hai yaad ek teri hi bar zaban hai yaad tha jo kuchh wada-e-wafa hum se kuchh bhi wo tum ko mehrban hai yaad agle milne ki tarah bhul gae kya bataun tumhein kahan hai yaad hun main paband-e-ulfat-e-sayyaad kab mujhe bagh-o-bostan hai yaad mahw tere hi ru-o-zulf ke hain na hamein wo na ye jahan hai yaad dida-o-dil mein tu hi basta hai tujh siwa kis ki aur yan hai yaad aur kuchh aarzu nahin 'bedar' ek us ki hi jawedan hai yaad