na gul mein na ab gulsitan hi mein DhunDo

na gul mein na ab gulsitan hi mein dhundo
mohabbat ko bas aastan hi mein dhundo

nishani mohabbat ki tum ko milegi
kisi ek dhundle nishan hi mein dhundo

pata shahr-e-dil ki bahaaron ka ab tum
kahin baam-o-dar ki khizan hi mein dhundo

agar dhundhna hai wajud apna tum ko
kisi dil ke ujde makan hi mein dhundo

milegi andhere mein ujli kiran bhi
use soch ki kahkashan hi mein dhundo

wafa ki kahani mein dhundo mujhe tum
kabhi hijr ki dastan hi mein dhundo

ho jis par yaqin tum ko 'shahin' azal se
use apne wahm-o-guman hi mein dhundo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close