na hi ranj hai na malal hai tere hijr ka ye kamal hai main bayan karun ise kis qadar tere bin jo guzra ye sal hai wo jo aaj chal rahe kajrawi ye to dushmanon ki si chaal hai main bhatak raha yunhi dar-ba-dar tere ishq hi mein ye haal hai koi zakhm de na siwa tere tera aisa hi to khayal hai