na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai jo be-niyaz ho sajdon se zindagi kya hai sada-bahaar chaman mein bhi gar nasheman ho tere baghair jo guzre wo zindagi kya hai khuda ko man ke khud ko khuda samajhta hai ana-parasti sarasar hai bandagi kya hai bas hum kamal samajhte hai jite rahne ko ye karbala ne bataya ki zindagi kya hai wo jo faqir sifat khud ko kahta phirta hai qaba harir ki pahne hai sadgi kya hai