na ho jis ko kisi ka gham use kahiye to kya kahiye

na ho jis ko kisi ka gham use kahiye to kya kahiye
jo sun kar haal ho barham use kahiye to kya kahiye

sabab howe to kije tark kahiye be-sabab yaro
khafa hota ho jo har dam use kahiye to kya kahiye

bhali kar ke kahen us se to wo mane bura ulta
jo shirini ko samjhe sam use kahiye to kya kahiye

nashe mein raat din makhmur rahta hai wo ghairon mein
hai us ka aur hi aalam use kahiye to kya kahiye

maza kahne ka ye hai ek kahe aur dusra mane
jo ho har baat mein barham use kahiye to kya kahiye

samajh achchhe bure ki ho to kuchh kahna bhi lazim hai
ho yaksan jis ki madh-o-zam use kahiye to kya kahiye

zabani haal qasid se bhala hum 'aish' kya kahte
jo howe shakhs-e-na-mahram use kahiye to kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close