na hoga shauq ye ab kam hamara tere kuche mein nikle dam hamara yaqin jo us pe ho mohkam hamara bigadega ye kya aalam hamara yahan tafriq har parcham tale hai faqat tafriq-kush parcham hamara hum apna jaeza le kar to dekhen kahan hai aaj ye sar kham hamara na samjhe wo qusur un ka nahin hai ishaara tha hi kuchh mubham hamara yahan hai kaun apne gham se khali kahen ab kis se aakhir gham hamara jo aalam ahl-e-duniya ka hai yaro wahi aalam hai besh-o-kam hamara kahen kya tum se hum us se kahenge karega dur wo hi gham hamara rah-e-insaniyat bas ek hi hai yahi elan hai paiham hamara ilahi sabr de rah-e-wafa mein mizaj ho jae na barham hamara wafa ka ye meri radd-e-amal hai kiya qatil ne bhi matam hamara inhin ahbab hi ne to kiya hai charagh-e-arzu maddham hamara bulao ibn-e-mariyam ko bulao labon par aa gaya hai dam hamara hua kya hae 'aqib' be-khudi mein hua daman ye kaise nam hamara