na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega bahaaron se hi takhrib-e-bahaaran kaun dekhega sar-e-mahshar jafaon ki shikayat bar-mahal lekin phir in masum nazron ko pashiman kaun dekhega baja hai lala o gul ki tabahi ka tasawwur bhi magar ye manzar-e-mahshar-ba-daman kaun dekhega mujhe taslim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai nasheman par hujum-e-barq-o-baran kaun dekhega hasin tabir-e-mustaqbil sahi is ki magar 'anwar' nae fitnon ka ab khwab-e-pareshan kaun dekhega