na ikhlas-e-kaamil na be-dad puri wafa bhi adhuri jafa bhi adhuri wahi hum wahi tum wahi ranj-e-duri mohabbat mein kya fasla hai zaruri ba-in rabt-e-baham ba-in zabt-e-paiham wahi na-shakebi wahi na-suburi mohabbat ki duniya mohabbat sarapa yahan koi khaki na nari na nuri ye sab mantiq-o-falsafa be-haqiqat abhi tak wahi aql ki be-shuuri khudi ko khudi koi jaane na jaane khuda ko khuda manna hai zaruri