na is tarah koi aaya hai aur na aata hai magar wo hai ki musalsal diye jalata hai kabhi safar kabhi rakht-e-safar ganwata hai phir is ke baad koi rasta banata hai ye log ishq mein sachche nahin hain warna hijr na ibtida na kahin intiha mein aata hai ye kaun hai jo dikhai nahin diya ab tak aur ek umr se apni taraf bulata hai wo kaun tha main jise raste mein chhod aaya ye kaun hai jo mere sath sath aata hai wahi tasalsul-e-auqat tod dega ki jo dar-e-ufuq pe shab-o-roz ko milata hai jo aasman se raaten utarta hai 'salim' wahi zamin se kabhi aaftab uthata hai