na ishrat ki tamanna hai na mahfil ki tamanna hai faqat ek khalwat-e-gham-ashna dil ki tamanna hai teri daryuzgi mein lutf aata hai use warna tujhe malum hai jo tere sail ki tamanna hai kuchh aisi aafiyat mein tere diwane nazar aae ki ab diwangi har ek aaqil ki tamanna hai ye madd-o-jazr sab jazb-e-mohabbat ke karishme hain ham-aghoshi-e-baham bahr-o-sahil ki tamanna hai meri turbat bane yunhi zamin-e-ku-e-jaanan mein ilahi jis tarah dil mein mere dil ki tamanna hai na nikle koi arman bas yahi arman hai le de kar mere dil ki tamanna hi mere dil ki tamanna hai muhaal-o-mumkin-o-dushwar-o-asan jama hain is mein nai duniya naya aalam mere dil ki tamanna hai dil-e-pur-arzu ne zindagi bhar khak chhanwai bas ab ai 'yas' ek be-arzu dil ki tamanna he