na jaane kab wo palat aaen dar khula rakhna gae hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna hazar talkh hon yaaden magar wo jab bhi mile zaban pe achchhe dinon ka hi zaiqa rakhna na ho ki qurb hi phir marg-e-rabt ban jae wo ab mile to zara us se fasla rakhna utar phenk de khush-fahmiyon ke sare ghilaf jo shakhs bhul gaya us ko yaad kya rakhna abhi na ilm ho us ko lahu ki lazzat ka ye raaz us se bahut der tak chhupa rakhna kabhi na lana masail gharon ke daftar mein ye donon pahlu hamesha juda juda rakhna uda diya hai jise chum kar hawa mein 'nasim' use hamesha hifazat mein ai khuda rakhna