na jaane kis se bichhde the hum aise zamane bhar ne dil rakkha hamara sada gunji magar khali hi lauti nishana phir nahin chuka hamara tasawwuf ki jo sunte kuchh na karte kisi jangal mein dil lagta hamara tawazun mangne aaya tha suraj banana pad gaya saya hamara zamana so gae the tab jage hum koi sapna nahin tuta hamara shajar the kat ke lae gae hum jahan mein kho gaya qissa hamara sukhan se us ki hairat chhin lega muqarrar waqt par marna hamara