na jaane kya hue atraf dekhne wale tamam shahr ko shaffaf dekhne wale giraft ka koi pahlu nazar nahin aata malul hain mere ausaf dekhne wale siwae rakh koi chiz bhi na hath aai ki hum the warsa-e-aslaf dekhne wale hamesha band hi rakhte hain zahiri aankhen ye tirgi mein bahut saf dekhne wale mohabbaton ka koi tajraba nahin rakhte har ek sans ka israf dekhne wale ab us ke baad hi manzar hai sang-bari ka sambhal ke barish-e-altaf dekhne wale ganwae baithe hain aankhon ki raushni 'shahid' jahan-panah ka insaf dekhne wale