na jaane nikle bade log hain kahan ki taraf zamin ki baat hai aur aankh aasman ki taraf jahan wale sabhi thak gae falak takte khuda kabhi tu bhi to dekha kar jahan ki taraf mare baghair mera bebasi se marna ho jae chala hai tir kisi ka meri kaman ki taraf tujhe hisab de dun tu ne kitna qatl kiya farishta ban ke chale aa kabhi yahan ki taraf hai nazuki ne bhi talwar tan di 'watsal' ye lafz-e-ishq chala aaya jo zaban ki taraf