na jazbon mein koi shiddat na girai na gahrai faqat lafzon ki baisakhi pe hai sari shanasai ba-zahir dekhne mein yun to hain ek jaan do qalib haqiqat mein hain donon hi asir-e-ranj-e-tanhai zaban-e-muddaa hai jurat-e-izhaar se qasir ki in aankhon mein dekha hum ne aksar khauf-e-ruswai bhatakta phir raha hun main sawad-e-dasht-e-zulmat mein nazar aata nahin rasta basirat hai na binai rukh-e-raushan pe parda kab talak ai husn-e-khud-ara zara parde se bahar aa ki aalam hai tamashai junun-e-khud-numai ibtizal-e-ilm-o-hikmat hai ki har ek mubtadi karta hai khud apni pazirai 'shakil-e-mazhari' aisi ghazal kahne se kya hasil takhayyul mein koi nudrat na sheron mein hai ranai