na jis mein hadse gham ke hon zindagi ke liye

na jis mein hadse gham ke hon zindagi ke liye
wo zindagi to musibat hai aadmi ke liye

o be-niyaz mere kuchh khabar bhi hai tujh ko
mita raha hun main khud ko teri khushi ke liye

hawas-parast nahin banda-e-khulus hun main
jo mera apna ho main bhi hun bas usi ke liye

khuda ki den hai wo jis ko daulat-e-gham de
ki faiz-e-ishq nahin hai ye har kisi ke liye

bas ek nigah-e-tamanna-nawaz ho jae
taras gaya hun mohabbat ki zindagi ke liye

zahe nasib ki aai to un ke honton par
tamam umr main roya tha jis hansi ke liye

ye apna apna muqaddar hai apna apna nasib
ki gham kisi ke liye hai khushi kisi ke liye

kahan wo lazzat-e-paiham ki ab to zalim ne
utha rakhi hain jafaen kabhi kabhi ke liye

rakha na wahshat-e-dil ne kahin ka ai 'sahir'
na koi mere liye hai na main kisi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close