na khud-sari mein hasin roz-o-shab guzara kar zamin-e-dil pe kabhi panw bhi pasara kar kinare lag gai mere bhi shauq ki kashti mere rafiq tu ab shauq se kinara kar kisi ke hijr mein taswir ban gaya hun main hasin sham ke manzar mujhe nihaara kar yahi hai lutf ana ka yahi hai dildari ki baziyon ko kabhi jit ke bhi haara kar nikal koi to surat ki fasle na rahen qarib aa mere ya phir mujhe ishaara kar teri sadaen kabhi raegan na jaengi wo sun raha hai yahi soch ke pukara kar husul-e-amn-o-mohabbat ki chashni ke liye mizaj-e-talkhi-e-dauran 'sukhan' gawara kar