na kisi pe zakhm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai na karam hai hum pe habib ka na nigah hum pe adu ki hai saf-e-zahidan hai to be-yaqin saf-e-mai-kashan hai to be-talab na wo subh wird-o-wazu ki hai na wo sham jam-o-subu ki hai na ye gham naya na sitam naya ki teri jafa ka gila karen ye nazar thi pahle bhi muztarib ye kasak to dil mein kabhu ki hai kaf-e-baghban pe bahaar-e-gul ka hai qarz pahle se besh-tar ki har ek phul ke pairahan mein numud mere lahu ki hai nahin khauf-e-roz-e-siyah hamein ki hai 'faiz' zarf-e-nigah mein abhi gosha-gir wo ek kiran jo lagan us aaina-ru ki hai