na koi chand na KHwabon ka nagar mera hai

na koi chand na khwabon ka nagar mera hai
ek sunsan sa khamosh sa ghar mera hai

ye zamin chhod chuki sath mere pairon ka
ab khalaon ki taraf agla safar mera hai

itni chhoti hai ye duniya use malum na tha
ghum phir kar jahan pahuncha hai wo dar mera hai

main ne khwahish hi na ki thi kabhi is ki warna
aaj bhi us ke to khwabon mein guzar mera hai

ye alag baat ki taqdir ne milne na diya
haq to us shakhs ki sochon pe magar mera hai

tujh ko shayad na yaqin aae magar sach hai yahi
teri dahliz pe jhukta hua sar mera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close