na koi khwab hoga aur na khwabon ka jahan hoga koi dil mein nahin hoga to dil khali makan hoga bahut hi soch kar tu kashti-e-umr-e-rawan ko dal muqabil mein talatum-khez bahr-e-be-karan hoga nahin hai dur wo manzar jise dekhega ye aalam musalman ek taraf aur ek taraf sara jahan hoga ye daur-e-pur-fitan hai bojh apna khud uthao tum tumhaara dard bantega na koi mehrban hoga raison aur luteron ka zamana hai gharibo tum kabhi mat sochna tum par zamana mehrban hoga chattanon ki tarah main azm rakhta hun 'latif' ab ke mujhe malum hai har ek qadam par imtihan hoga