na koi shakhs na saya kahin nagar mein tha bala ka khwab-e-tamasha meri nazar mein tha ubharte dubte rishton ki dhup chhanw mein ek ajnabi ki tarah main bhi apne ghar mein tha saron ke phul ki barish na tham saki aakhir umadte dar ka sawan mere nagar mein tha tadap rahi thin darichon mein dubti kirnen guzarte waqt ka suraj kahin khandar mein tha pukar len na kahin dhup mein ghani shakhen bas ek khauf yahi dosto safar mein tha