na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka dikha ke dast-e-hinai na khun baha dil ka ki aur rang se lunga main khun-baha dil ka main tifl-e-ashk ko mizhgan pe dekh hairan hun ki nur-e-dida hai ya hai baalaka dil ka tu aaine pe na apne kar ai sikandar naz ki hum bhi rakhte hain jam-e-jahan-numa dil ka bahisht pahunche hai zahid! kab us ki wusat ko ajab rawish ka hai ye bagh-e-dil-kusha dil ka baja hun sar-ba-gareban ki us ke daman tak na pahuncha aah kabhi dast-e-na-rasa dil ka tere khadang-e-mizha se hai yak-qalam majruh na puchh ai but-e-bad-kesh! majra dil ka lagai kis but-e-mai-nosh ne hai tak us par subu-ba-dosh hai saqi jo aabla dil ka hazar bain kahen kyun na ahl-e-binai ki saf bu-qalamon hai ye aaina dil ka bahaar tujh ko dikhaenge hum bhi ai gul-ru kisi rawish se jo ghuncha kabhi khila dil ka zuhur-e-jalwa-e-mabud hai bahar-surat rakha hai nam baja khana-e-khuda dil ka ruwaq-e-chashm mein mat rah ki hai makan-e-nuzul tere to waste ye qasr hai bana dil ka qarar o taqat o sabr o khirad hue sab gum tumhaari zulf mein abtar hai haal kya dil ka kahenge hum ye sarasar jo koi puchhega sawad-e-hind mein luta hai qafila dil ka na kyunki aah se khatir nishan ho ab meri ki tir ye nahin karta kabhi khata dil ka hamare dagh se bhanwre ko kya bhala nisbat ki wo rafiq hai gul ka ye aashna dil ka laga na dil ko tu apne kisi se dekh 'nasir' bura na man ki is mein nahin bhala dil ka